daricha be-sada koi nahin hai
darīcha be-sadā koī nahīñ hai
agarche boltā koī nahīñ hai
maiñ aise jamghaTe meñ kho gayā huuñ
jahāñ mere sivā koī nahīñ hai
rukūñ to manzileñ hī manzileñ haiñ
chalūñ to rāsta koī nahīñ hai
khulī haiñ khiḌkiyāñ har ghar kī lekin
galī meñ jhāñktā koī nahīñ hai
kisī se āshnā aisā huā huuñ
mujhe pahchāntā koī nahīñ hai
daricha be-sada koi nahin hai
agarche bolta koi nahin hai
main aise jamghaTe mein kho gaya hun
jahan mere siwa koi nahin hai
rukun to manzilen hi manzilen hain
chalun to rasta koi nahin hai
khuli hain khiDkiyan har ghar ki lekin
gali mein jhankta koi nahin hai
kisi se aashna aisa hua hun
mujhe pahchanta koi nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.