dariya-e-ashiqi mein jo the ghaT ghaT sanp
dariya-e-ashiqi mein jo the ghaT ghaT sanp
Mushafi Ghulam Hamdani
MORE BYMushafi Ghulam Hamdani
dariyā-e-āshiqī meñ jo the ghaaT ghaaT saañp
le ga.e sapere vaañ se bahut bhar ke baaT saañp
az-bas-ki us ke zahr pe ġhālib hai zahr-e-ishq
mar jaave hai vahīñ tire āshiq ko kaaT saañp
dariyā meñ sar ke baal koī dho gayā magar
lahroñ ke ho rahe haiñ jo yuuñ baara baaT saañp
nāmard se bhalā jaTa.ī ḳhaak phir huī
samjhā jab apnī bhaiñs kī rassī ko jaaT saañp
tahrīk-e-zulf se tirī bād-e-sumūm ne
kahte haiñ dasht-o-dar meñ diye baaT baaT saañp
the jis zamīñ pe sandal-e-pā ke tire nishāñ
jiite haiñ ab vahīñ kī zarā ḳhaak chaaT saañp
sāhil pe us kī ja.ad-e-musalsal ke aks se
dariyā meñ dhobiyoñ ko nazar aa.e paaT saañp
bañgle meñ jā ke ḳhaak rahe koī 'mus.hafī'
kar deñ haiñ aadmī kā yahāñ jī uchāT saañp
dariya-e-ashiqi mein jo the ghaT ghaT sanp
le gae sapere wan se bahut bhar ke baT sanp
az-bas-ki us ke zahr pe ghaalib hai zahr-e-ishq
mar jawe hai wahin tere aashiq ko kaT sanp
dariya mein sar ke baal koi dho gaya magar
lahron ke ho rahe hain jo yun bara baT sanp
namard se bhala jaTai KHak phir hui
samjha jab apni bhains ki rassi ko jaT sanp
tahrik-e-zulf se teri baad-e-sumum ne
kahte hain dasht-o-dar mein diye baT baT sanp
the jis zamin pe sandal-e-pa ke tere nishan
jite hain ab wahin ki zara KHak chaT sanp
sahil pe us ki jad-e-musalsal ke aks se
dariya mein dhobiyon ko nazar aae paT sanp
bangle mein ja ke KHak rahe koi 'mushafi'
kar den hain aadmi ka yahan ji uchaT sanp
- Book : kulliyat-e-mas.hafii(Vol-4)(pdf) (Pg. 92)
- Author : Ghulam hamdani Mashafi
- Publication : Qaumi council baraye -farogh urdu (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.