dariya-e-nur-o-rang hai nikhat hai zindagi
dariya-e-nur-o-rang hai nikhat hai zindagi
Maya Khanna Raje Barelvi
MORE BYMaya Khanna Raje Barelvi
dariyā-e-nūr-o-rañg hai nik.hat hai zindagī
paiġhambar-e-ḳhulūs-o-mohabbat hai zindagī
chāho to har qadam pe tumheñ manzileñ mileñ
socho to hausla hai shujā'at hai zindagī
ye imtiyāz-o-farq ye nafrat hiqārateñ
aur maz.hab-e-vafā kī sharī'at hai zindagī
merī nazar nahīñ nigah-e-shaiḳh-o-barhaman
pastī nahīñ hai 'arsh kī rif.at hai zindagī
phir shām-e-hijr aa.egī sail-e-alam liye
phir ro ke ham kaheñge ki furqat hai zindagī
galiyoñ kī ḳhaak chhānī to motī mile haiñ
ye kah ke ham na so.e ki rāhat hai zindagī
'rāje' jo kuchh bhī faisla ahl-e-ḳhirad kareñ
mere liye to sirf mohabbat hai zindagī
dariya-e-nur-o-rang hai nikhat hai zindagi
paighambar-e-KHulus-o-mohabbat hai zindagi
chaho to har qadam pe tumhein manzilen milen
socho to hausla hai shuja'at hai zindagi
ye imtiyaz-o-farq ye nafrat hiqaraten
aur mazhab-e-wafa ki shari'at hai zindagi
meri nazar nahin nigah-e-shaiKH-o-barhaman
pasti nahin hai 'arsh ki rifat hai zindagi
phir sham-e-hijr aaegi sail-e-alam liye
phir ro ke hum kahenge ki furqat hai zindagi
galiyon ki KHak chhani to moti mile hain
ye kah ke hum na soe ki rahat hai zindagi
'raje' jo kuchh bhi faisla ahl-e-KHirad karen
mere liye to sirf mohabbat hai zindagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.