dariya guzar gae hain samundar guzar gae
dariyā guzar ga.e haiñ samundar guzar ga.e
pyāsā rahā maiñ kitne hī manzar guzar ga.e
us jaisā dūsrā na samāyā nigāh meñ
kitne hasīn āñkhoñ se paikar guzar ga.e
kuchh tiir mere siine meñ paivast ho ga.e
kuchh tiir mere siine se bāhar guzar ga.e
aañsū bayān karne se qāsir rahe jinheñ
kyā kyā na zaḳhm zaat ke andar guzar ga.e
ik choT dil pe lagtī rahī hai tamām shab
dil kī zamīñ se yādoñ ke lashkar guzar ga.e
vo zabt thā ki aah na niklī zabān se
dil pe hamāre kitne hī ḳhanjar guzar ga.e
manzil thī vo ki hotī ga.ī duur hī 'zafar'
kitne hī rah meñ miil ke patthar guzar ga.e
dariya guzar gae hain samundar guzar gae
pyasa raha main kitne hi manzar guzar gae
us jaisa dusra na samaya nigah mein
kitne hasin aankhon se paikar guzar gae
kuchh tir mere sine mein paiwast ho gae
kuchh tir mere sine se bahar guzar gae
aansu bayan karne se qasir rahe jinhen
kya kya na zaKHm zat ke andar guzar gae
ek choT dil pe lagti rahi hai tamam shab
dil ki zamin se yaadon ke lashkar guzar gae
wo zabt tha ki aah na nikli zaban se
dil pe hamare kitne hi KHanjar guzar gae
manzil thi wo ki hoti gai dur hi 'zafar'
kitne hi rah mein mil ke patthar guzar gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.