dariya mein ye naw kis taraf hai
dariyā meñ ye naav kis taraf hai
paanī kā bahāv kis taraf hai
ye raah kidhar ko muḌ rahī hai
logoñ kā lagāv kis taraf hai
manzil kahāñ tākte haiñ raahī
takte haiñ paḌāv kis taraf hai
tāsīr kahāñ ga.ī suḳhan se
jazboñ kā alaav kis taraf hai
āvāz kahīñ bulā rahī hai
yāroñ kā rijhāv kis taraf hai
tasvīr dikhā rahī hai kyā kuchh
rañgoñ kā rachāo kis taraf hai
kho.e hue tum kahāñ ho 'gauhar'
dil kā ye khichāo kis taraf hai
dariya mein ye naw kis taraf hai
pani ka bahaw kis taraf hai
ye rah kidhar ko muD rahi hai
logon ka lagaw kis taraf hai
manzil kahan takte hain rahi
takte hain paDaw kis taraf hai
tasir kahan gai suKHan se
jazbon ka alaw kis taraf hai
aawaz kahin bula rahi hai
yaron ka rijhaw kis taraf hai
taswir dikha rahi hai kya kuchh
rangon ka rachao kis taraf hai
khoe hue tum kahan ho 'gauhar'
dil ka ye khichao kis taraf hai
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 429)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (25Edition Nov. Dec. 1986)
- Edition : 25Edition Nov. Dec. 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.