dariya se iKHtilat hai hum ro nahin rahe
dariyā se iḳhtilāt hai ham ro nahīñ rahe
ronā hamārī zaat hai ham ro nahīñ rahe
is bad-dimāġh dil ne kiyā zabt kā bhī ḳhuun
ye sirf vārdāt hai ham ro nahīñ rahe
kitne dinoñ ke ba.ad ḳhushī se mile haiñ ham
phir bhī ajiib baat hai ham ro nahīñ rahe
ye din bhī koī din thā ajab ḳhush-gavār din
ye raat koī raat hai ham ro nahīñ rahe
rone lage to kaun hameñ chup karā.egā
so is kā ehtiyāt hai ham ro nahīñ rahe
aañsū kamā.e haiñ so tire diin ke liye
maulā yahī zakāt hai ham ro nahīñ rahe
dariya se iKHtilat hai hum ro nahin rahe
rona hamari zat hai hum ro nahin rahe
is bad-dimagh dil ne kiya zabt ka bhi KHun
ye sirf wardat hai hum ro nahin rahe
kitne dinon ke baad KHushi se mile hain hum
phir bhi ajib baat hai hum ro nahin rahe
ye din bhi koi din tha ajab KHush-gawar din
ye raat koi raat hai hum ro nahin rahe
rone lage to kaun hamein chup karaega
so is ka ehtiyat hai hum ro nahin rahe
aansu kamae hain so tere din ke liye
maula yahi zakat hai hum ro nahin rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.