darman mila to dard ka unwan badal gaya
darmāñ milā to dard kā unvāñ badal gayā
aaya samajh meñ dard to darmāñ badal gayā
aisī bhī kyā nigāh-e-mohabbat se dushmanī
phūloñ samet rang-e-gulistāñ badal gayā
sāhil pe lā ke TuuTī huī naav pheñk dī
khā kar taras irāda-e-tūfāñ badal gayā
kāfir banā ke kufr-navāzī bhī chhoḌ dī
īmān le ke dushman-e-īmāñ badal gayā
mahfil meñ vo the aur mohabbat pe guftugū
pahuñchā jo maiñ to baat kā unvāñ badal gayā
āzād kar rahe haiñ ziyārat asiir kī
kis ke qadam se ālam-e-zindāñ badal gayā
tum to badal sake na pareshānī-e-ḳhayāl
ham ko 'razā' ḳhayāl-e-pareshāñ badal gayā
darman mila to dard ka unwan badal gaya
aaya samajh mein dard to darman badal gaya
aisi bhi kya nigah-e-mohabbat se dushmani
phulon samet rang-e-gulistan badal gaya
sahil pe la ke TuTi hui naw phenk di
kha kar taras irada-e-tufan badal gaya
kafir bana ke kufr-nawazi bhi chhoD di
iman le ke dushman-e-iman badal gaya
mahfil mein wo the aur mohabbat pe guftugu
pahuncha jo main to baat ka unwan badal gaya
aazad kar rahe hain ziyarat asir ki
kis ke qadam se aalam-e-zindan badal gaya
tum to badal sake na pareshani-e-KHayal
hum ko 'raza' KHayal-e-pareshan badal gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.