darpai-e-umr-e-rafta hun yarab
darpai-e-umr-e-rafta huuñ yārab
har-dam az-ḳhud guzishta huuñ yārab
kyā huuñ maqbūl-e-tab-e-ahl-e-suḳhan
ek mazmūn-e-basta huuñ yārab
kyā dikhā.ūñ maiñ apne jauhar aah
shakl-e-teġh-e-shikasta huuñ yārab
apnī kam-fursatī kahūñ kyā aah!
aah az-sīna jasta huuñ yārab
paanī paanī huuñ jis ko dekh jahīm
soz-e-ġham se vo tafta huuñ yārab
dekho kyā ho ki vaañ hai nāz-e-ġhurūr
maiñ ye ahvāl-e-ḳhasta huuñ yārab
darpai-e-umr-e-rafta hun yarab
har-dam az-KHud guzishta hun yarab
kya hun maqbul-e-tab-e-ahl-e-suKHan
ek mazmun-e-basta hun yarab
kya dikhaun main apne jauhar aah
shakl-e-tegh-e-shikasta hun yarab
apni kam-fursati kahun kya aah!
aah az-sina jasta hun yarab
pani pani hun jis ko dekh jahim
soz-e-gham se wo tafta hun yarab
dekho kya ho ki wan hai naz-e-ghurur
main ye ahwal-e-KHasta hun yarab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.