darpan se Darte ho bhai
darpan se Darte ho bhaa.ī
aisā kyoñ karte ho bhaa.ī
beTī ruḳhsat bhī karte ho
āñkheñ bhī bharte ho bhaa.ī
aisā kyā kar baiThe ho tum
nīñdoñ meñ Darte ho bhaa.ī
maiñ to aksar mar jaatā huuñ
kyā tum bhī marte ho bhaa.ī
kyoñ is ghar ke āñgan meñ tum
dīvāreñ dharte ho bhaa.ī
darpan se Darte ho bhai
aisa kyon karte ho bhai
beTi ruKHsat bhi karte ho
aankhen bhi bharte ho bhai
aisa kya kar baiThe ho tum
nindon mein Darte ho bhai
main to aksar mar jata hun
kya tum bhi marte ho bhai
kyon is ghar ke aangan mein tum
diwaren dharte ho bhai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.