Darta hun kahin ai dost mere ye pyar mera badnam na ho
Dartā huuñ kahīñ ai dost mire ye pyaar mirā badnām na ho
jis tarah se TuuTe lākhoñ dil apnā bhī vahī anjām na ho
ye zālim duniyā hai sāthī kab do dil milne detī hai
aisī hī talḳh judā.ī kī ab apnī koī shaam na ho
haiñ biich meñ kitnī dīvāreñ maz.hab kī samājoñ rasmoñ kī
is qaid meñ ham bhī dam toḌeñ qismat meñ yahī in.aam na ho
ulfat ke haath thamāyā hai duniyā ne zahr kā paimāna
kitnoñ ne piyā ye jām-e-sam apne bhī liye ye jaam na ho
badnām hai har pahchān yahāñ hai jurm yahāñ har ik rishta
ik roz hamāre sar 'bismil' aisā hī koī ilzām na ho
Darta hun kahin ai dost mere ye pyar mera badnam na ho
jis tarah se TuTe lakhon dil apna bhi wahi anjam na ho
ye zalim duniya hai sathi kab do dil milne deti hai
aisi hi talKH judai ki ab apni koi sham na ho
hain bich mein kitni diwaren mazhab ki samajon rasmon ki
is qaid mein hum bhi dam toDen qismat mein yahi inam na ho
ulfat ke hath thamaya hai duniya ne zahr ka paimana
kitnon ne piya ye jam-e-sam apne bhi liye ye jam na ho
badnam hai har pahchan yahan hai jurm yahan har ek rishta
ek roz hamare sar 'bismil' aisa hi koi ilzam na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.