darun-e-zat hujum-e-azab Thahra hai
darūn-e-zāt hujūm-e-azāb Thahrā hai
kahāñ ye silsila-e-iztirāb Thahrā hai
yahīñ ufuq se zamīneñ savāl kartī haiñ
kahāñ ḳhalāoñ meñ chhup kar javāb Thahrā hai
badan-zamīn meñ āñkheñ ugaa.ī haiñ ham ne
badan-falak pe koī māhtāb Thahrā hai
isī javāb ke raste savāl aate haiñ
isī savāl meñ saarā javāb Thahrā hai
siyah libās meñ ham shab ke mātamī Thahre
siyāh shab kī nahūsat meñ ḳhvāb Thahrā hai
darun-e-zat hujum-e-azab Thahra hai
kahan ye silsila-e-iztirab Thahra hai
yahin ufuq se zaminen sawal karti hain
kahan KHalaon mein chhup kar jawab Thahra hai
badan-zamin mein aankhen ugai hain hum ne
badan-falak pe koi mahtab Thahra hai
isi jawab ke raste sawal aate hain
isi sawal mein sara jawab Thahra hai
siyah libas mein hum shab ke matami Thahre
siyah shab ki nahusat mein KHwab Thahra hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.