Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

darwaza to band kiya hai aali-jah

Wasim Nadir

darwaza to band kiya hai aali-jah

Wasim Nadir

MORE BYWasim Nadir

    darvāza to band kiyā hai 'ālī-jāh

    vaqt magar sab dekh rahā hai 'ālī-jāh

    bāhar kitnā hangāma hai 'ālī-jāh

    lekin aap ko kyā karnā hai 'ālī-jāh

    dard vahī zanjīr vahī dīvār vahī

    'ishq se āḳhir jhagḌā kyā hai 'ālī-jāh

    rāj-mahal surḳhī kam hotī nahīñ

    buniyādoñ meñ ḳhuun bharā hai 'ālī-jāh

    taaj utāro mansab chhoḌo bāhar aao

    shahzāde hukm huā hai 'ālī-jāh

    ġhaur se dekho banjāran āñkhoñ meñ

    ik puurā sansār basā hai 'ālī-jāh

    darwaza to band kiya hai 'ali-jah

    waqt magar sab dekh raha hai 'ali-jah

    bahar kitna hangama hai 'ali-jah

    lekin aap ko kya karna hai 'ali-jah

    dard wahi zanjir wahi diwar wahi

    'ishq se aaKHir jhagDa kya hai 'ali-jah

    raj-mahal ki surKHi kam hoti hi nahin

    buniyaadon mein KHun bhara hai 'ali-jah

    taj utaro mansab chhoDo bahar aao

    shahzade ka hukm hua hai 'ali-jah

    ghaur se dekho banjaran ki aankhon mein

    ek pura sansar basa hai 'ali-jah

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now