dasht aise gulshan mein gul pe gul khilane ki har ada mubarak ho
dasht aise gulshan mein gul pe gul khilane ki har ada mubarak ho
Basheer Dada
MORE BYBasheer Dada
dasht aise gulshan meñ gul pe gul khilāne kī har adā mubārak ho
nannhe-munhe ġhunchoñ se ḳhud-kushī karāne kā mashġhala mubārak ho
par-burīda bulbul ne jis jagah bhī tinkoñ se ghoñsle banā.e the
vo chaman jalāne ko ab bhī tere hāthoñ meñ sā.iqa mubārak ho
tū ne jin bechāroñ ke kam-sinoñ kī lāshoñ par pā-e-taḳht rakkhe haiñ
un ke jism-e-uryāñ par tere jabr-e-be-jā kā dabdaba mubārak ho
ḳhuun bahā chukā ab tak to javāñ parindoñ kā chaaT lag chukī tujh ko
ab se shīr-ḳhvāroñ ke taaza ḳhūn-e-arzāñ kā zā.iqa mubārak ho
sūfiyoñ buzurgoñ ne naqsh-e-pā jo chhoḌe the sab miTā diye tū ne
vaqt ke darinde ab kusht-o-ḳhūn kā ik ik rāsta mubārak ho
jabr-e-mujrimāna se tū chaman pe qābiz hai ab bhī tasfiya kar le
varna gulsitāñ terā kal jahāñ ke naqshe par sar kaTā mubārak ho
dasht aise gulshan mein gul pe gul khilane ki har ada mubarak ho
nannhe-munhe ghunchon se KHud-kushi karane ka mashghala mubarak ho
par-burida bulbul ne jis jagah bhi tinkon se ghonsle banae the
wo chaman jalane ko ab bhi tere hathon mein saiqa mubarak ho
tu ne jin bechaaron ke kam-sinon ki lashon par pa-e-taKHt rakkhe hain
un ke jism-e-uryan par tere jabr-e-be-ja ka dabdaba mubarak ho
KHun baha chuka ab tak to jawan parindon ka chaT lag chuki tujh ko
ab se shir-KHwaron ke taza KHun-e-arzan ka zaiqa mubarak ho
sufiyon buzurgon ne naqsh-e-pa jo chhoDe the sab miTa diye tu ne
waqt ke darinde ab kusht-o-KHun ka ek ek rasta mubarak ho
jabr-e-mujrimana se tu chaman pe qabiz hai ab bhi tasfiya kar le
warna gulsitan tera kal jahan ke naqshe par sar kaTa mubarak ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.