dasht dekha nahin sahra nahin manga humne
dasht dekhā nahīñ sahrā nahīñ māñgā ham ne
jaisā chāhā kabhī vaisā nahīñ māñgā ham ne
chand yādoñ ke diye thoḌī tamanna kuchh ḳhvāb
zindagī tujh se ziyāda nahīñ māñgā ham ne
ḳhil.at-e-nūr utārī to mayassar huī ḳhaak
apnī miTTī se sitāra nahīñ māñgā ham ne
shauq vāqif hai sabhī husn ke juġhrāfiyoñ se
shahr-e-dīdār kā naqsha nahīñ māñgā ham ne
ishq vo maz.hab-e-avval hai ki dil kaafī hai
yuuñ tilāvat ko sahīfa nahīñ māñgā ham ne
dasht dekha nahin sahra nahin manga hum ne
jaisa chaha kabhi waisa nahin manga hum ne
chand yaadon ke diye thoDi tamanna kuchh KHwab
zindagi tujh se ziyaada nahin manga hum ne
KHilat-e-nur utari to mayassar hui KHak
apni miTTi se sitara nahin manga hum ne
shauq waqif hai sabhi husn ke jughrafiyon se
shahr-e-didar ka naqsha nahin manga hum ne
ishq wo mazhab-e-awwal hai ki dil kafi hai
yun tilawat ko sahifa nahin manga hum ne
- Book : Ishq (Pg. 76)
- Author :Moid Rasheedi
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.