dasht-e-be-ab ki tarah guzri
dasht-e-be-āb kī tarah guzrī
zindagī ḳhvāb kī tarah guzrī
chashm-e-pur-āb se tirī ḳhvāhish
raqs-e-mahtāb kī tarah guzrī
ek sūrat ko DhūñDte har shab
chashm-e-be-ḳhvāb kī tarah guzrī
hijr kī anjuman se har saa.at
ashk-e-be-tāb kī tarah guzrī
dāstāñ merī is kahānī ke
an-paḌhe baab kī tarah guzrī
dil ke dariyā se har ḳhushī 'amjad'
ek girdāb kī tarah guzrī
dasht-e-be-ab ki tarah guzri
zindagi KHwab ki tarah guzri
chashm-e-pur-ab se teri KHwahish
raqs-e-mahtab ki tarah guzri
ek surat ko DhunDte har shab
chashm-e-be-KHwab ki tarah guzri
hijr ki anjuman se har saat
ashk-e-be-tab ki tarah guzri
dastan meri is kahani ke
an-paDhe bab ki tarah guzri
dil ke dariya se har KHushi 'amjad'
ek girdab ki tarah guzri
- Book : Batain Kartay Din (Pg. 135)
- Author : Amjad Islam Amjad
- Publication : Sang-e-meel Publications (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.