dasht-e-gham aur har shajar tanha
dasht-e-ġham aur har shajar tanhā
raat soī hai be-ḳhabar tanhā
le ke phirtā huuñ dar-ba-dar tanhā
terī yādoñ kā ik nagar tanhā
so na jā.ūñ ḳhirad ke bistar par
ai junūñ tujh ko chhoḌ kar tanhā
dil ke dāman meñ chubh ga.ī āḳhir
chaltī-phirtī huī nazar tanhā
yaad phir chīḳhne lagī us kī
mujh ko kamre meñ jaan kar tanhā
chāñd kā dard maañg le koī
mujh ko rahnā hai umr-bhar tanhā
dasht-e-gham aur har shajar tanha
raat soi hai be-KHabar tanha
le ke phirta hun dar-ba-dar tanha
teri yaadon ka ek nagar tanha
so na jaun KHirad ke bistar par
ai junun tujh ko chhoD kar tanha
dil ke daman mein chubh gai aaKHir
chalti-phirti hui nazar tanha
yaad phir chiKHne lagi us ki
mujh ko kamre mein jaan kar tanha
chand ka dard mang le koi
mujh ko rahna hai umr-bhar tanha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.