dasht-e-junun mein mere barabar nahin koi
dasht-e-junūñ meñ mere barābar nahīñ koī
hoñge hazār qais pa 'ahmar' nahīñ koī
tum ne chunī hai raah jo hamvār hai bahut
zāhid tumhārī raah meñ patthar nahīñ koī
tanhā hī dushmanoñ kī hadoñ tak pahuñch gayā
buzdil chale the saath meñ lashkar nahīñ koī
'izzat-ma.āb qibla-o-'ālī-janāb aap
'ālī-janāb aap sā ahqar nahīñ koī
is ġham meñ dil-girafta hai 'ahmar-nadīm’ bas
sar par gunah kā bojh hai mahshar nahīñ koī
dasht-e-junun mein mere barabar nahin koi
honge hazar qais pa 'ahmar' nahin koi
tum ne chuni hai rah jo hamwar hai bahut
zahid tumhaari rah mein patthar nahin koi
tanha hi dushmanon ki hadon tak pahunch gaya
buzdil chale the sath mein lashkar nahin koi
'izzat-maab qibla-o-'ali-janab aap
'ali-janab aap sa ahqar nahin koi
is gham mein dil-girafta hai 'ahmar-nadim’ bas
sar par gunah ka bojh hai mahshar nahin koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.