dasht-e-tanhai mein hum KHak uDa dete hain
dasht-e-tanhā.ī meñ ham ḳhaak uḌā dete haiñ
shab kī ḳhāmoshī meñ yādoñ ko sadā dete haiñ
din guzarte haiñ tavāf-e-dar-e-jānāñ karte
apnī rātoñ ko bhī āñkhoñ meñ gañvā dete haiñ
raat bhī biit ga.ī taare bhī sab Duub chale
apne ashkoñ ko bhī palkoñ meñ chhupā dete haiñ
apne atvār pe nādim na hoñ mahfil meñ 'azīz
chehre chhup jaa.eñ charāġhoñ ko bujhā dete haiñ
tum pareshān ho kyuuñ ham to tumhārī ḳhātir
ab bhī chāho to har ik baat bhulā dete haiñ
dasht-e-tanhai mein hum KHak uDa dete hain
shab ki KHamoshi mein yaadon ko sada dete hain
din guzarte hain tawaf-e-dar-e-jaanan karte
apni raaton ko bhi aankhon mein ganwa dete hain
raat bhi bit gai tare bhi sab Dub chale
apne ashkon ko bhi palkon mein chhupa dete hain
apne atwar pe nadim na hon mahfil mein 'aziz
chehre chhup jaen charaghon ko bujha dete hain
tum pareshan ho kyun hum to tumhaari KHatir
ab bhi chaho to har ek baat bhula dete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.