dasht hum tujhse talluq ko nibhate kaise
dasht ham tujh se ta.alluq ko nibhāte kaise
ham bhalā un kī galī chhoḌ ke jaate kaise
un kī āñkhoñ meñ koī aur basā thā shāyad
ham se vo nazreñ milāte to milāte kaise
un ke chehre pe kisī aur kā haq thā shāyad
ham to qadmoñ se tavajjoh ko haTāte kaise
merī hī jaan kā vo maan se haq māñgtā thā
paglā yaar thā vo jaan bachāte kaise
us ne pūchhā hī na thā kaun haiñ kyuuñ aa.e haiñ
ham bhī ḳhuddār the phir haal sunāte kaise
'bushrā' ham apne kiye par bhī na pachhtā paa.e
dil ko be-faiz zamāne meñ lagāte kaise
dasht hum tujh se talluq ko nibhate kaise
hum bhala un ki gali chhoD ke jate kaise
un ki aankhon mein koi aur basa tha shayad
hum se wo nazren milate to milate kaise
un ke chehre pe kisi aur ka haq tha shayad
hum to qadmon se tawajjoh ko haTate kaise
meri hi jaan ka wo man se haq mangta tha
pagla yar tha wo jaan bachate kaise
us ne puchha hi na tha kaun hain kyun aae hain
hum bhi KHuddar the phir haal sunate kaise
'bushra' hum apne kiye par bhi na pachhta pae
dil ko be-faiz zamane mein lagate kaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.