dasht ki bad-dua na lo logo
dasht kī bad-duā na lo logo
peḌ kahtā hai kyā suno logo
zindagī ik hasīn manzar hai
har ghaḌī dekhte raho logo
mere hāthoñ ne chhū liyā hai use
mere hāthoñ ko chuum lo logo
ab jo rote ho apnī qismat par
maiñ na kahtā thā mat karo logo
mere bachche kā kuchh qusūr nahīñ
mere bachche ko chhoḌ do logo
dasht ki bad-dua na lo logo
peD kahta hai kya suno logo
zindagi ek hasin manzar hai
har ghaDi dekhte raho logo
mere hathon ne chhu liya hai use
mere hathon ko chum lo logo
ab jo rote ho apni qismat par
main na kahta tha mat karo logo
mere bachche ka kuchh qusur nahin
mere bachche ko chhoD do logo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.