dasht ki tez hawaon mein bikhar jaoge kya
dasht kī tez havāoñ meñ bikhar jāoge kyā
ek din ghar nahīñ jāoge to mar jāoge kyā
peḌ ne chāñd ko āġhosh meñ le rakkhā hai
maiñ tumheñ roknā chāhūñ to Thahar jāoge kyā
ye zamistān-e-ta'alluq ye havā-e-qurbat
aag oḌhoge nahīñ yūñhī ThiThar jāoge
ye takallum bharī āñkheñ ye tarannum bhare hoñT
tum isī hālat-e-rusvā.ī meñ ghar jāoge kyā
lauT aaoge mire paas parinde kī tarah
mirī āvāz kī sarhad se guzar jāoge kyā
chhoḌ kar naav meñ tanhā mujhe 'āsim' tum bhī
kisī gumnām jazīre pe utar jāoge kyā
dasht ki tez hawaon mein bikhar jaoge kya
ek din ghar nahin jaoge to mar jaoge kya
peD ne chand ko aaghosh mein le rakkha hai
main tumhein rokna chahun to Thahar jaoge kya
ye zamistan-e-ta'alluq ye hawa-e-qurbat
aag oDhoge nahin yunhi ThiThar jaoge
ye takallum bhari aankhen ye tarannum bhare honT
tum isi haalat-e-ruswai mein ghar jaoge kya
lauT aaoge mere pas parinde ki tarah
meri aawaz ki sarhad se guzar jaoge kya
chhoD kar naw mein tanha mujhe 'asim' tum bhi
kisi gumnam jazire pe utar jaoge kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.