dasht ki tishnagi baDhata hun
dasht kī tishnagī baḌhātā huuñ
maiñ udāsī ke kaam aatā huuñ
tū mujhe 'ishq kī suhūlat de
maiñ tirā zabt āzmātā huuñ
qaid kartā huuñ hasrateñ dil meñ
phir unheñ ḳhud-kushī sikhātā huuñ
ik thakan rāste meñ miltī hai
ik thakan ghar se le ke jaatā ho
shaam ke surma.ī parindoñ ko
chāñdnī oḌhnā sikhātā huuñ
dekhtā huuñ kahīñ paḌā ḳhud ko
aur bahut der muskurātā huuñ
dasht ki tishnagi baDhata hun
main udasi ke kaam aata hun
tu mujhe 'ishq ki suhulat de
main tera zabt aazmata hun
qaid karta hun hasraten dil mein
phir unhen KHud-kushi sikhata hun
ek thakan raste mein milti hai
ek thakan ghar se le ke jata ho
sham ke surmai parindon ko
chandni oDhna sikhata hun
dekhta hun kahin paDa KHud ko
aur bahut der muskuraata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.