dasht ki viraniyon mein KHema-zan hota hua
dasht kī vīrāniyoñ meñ ḳhema-zan hotā huā
mujh meñ Thahrā hai koī be-pairahan hotā huā
ek parchhā.īñ mire qadmoñ meñ bal khātī huī
ek sūraj mere māthe kī shikan hotā huā
ek kashtī ġharq merī aañkh meñ hotī huī
ik samundar mere andar maujzan hotā huā
juz hamāre kaun āḳhir dekhtā is kaam ko
ruuh ke andar koī kār-e-badan hotā huā
mere saare lafz merī zaat meñ kho.e hue
zikr us kā anjuman-dar-anjuman hotā huā
dasht ki viraniyon mein KHema-zan hota hua
mujh mein Thahra hai koi be-pairahan hota hua
ek parchhain mere qadmon mein bal khati hui
ek suraj mere mathe ki shikan hota hua
ek kashti gharq meri aankh mein hoti hui
ek samundar mere andar maujzan hota hua
juz hamare kaun aaKHir dekhta is kaam ko
ruh ke andar koi kar-e-badan hota hua
mere sare lafz meri zat mein khoe hue
zikr us ka anjuman-dar-anjuman hota hua
- Book : Sabhi Rang Tumhare Nikle (Pg. 25)
- Author : Salim Saleem
- Publication : Rekhta Publications (2017)
- Edition : First
- Book : Wahima Vajood Ka (Pg. 23)
- Author : Salim Saleem
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.