dasht ko uski rah bhaTkana Thik nahin
dasht ko us kī rah bhaTkānā Thiik nahīñ
vahshat kā yuuñ aanā jaanā Thiik nahīñ
vo jo terī yaad meñ dhaḌke aur jiye
aise dil se vāpas aanā Thiik nahīñ
bār-e-nashāt se us dil ko mar jaane do
ro ro kar yuuñ jī bahlānā Thiik nahīñ
vo to ālam-e-shauq meñ hai mahbūba ke
dil mar jaa.e to dafnānā Thiik nahīñ
dard ko apnī hiddat kā rañg chaḌhne do
is ghaav kā yuuñ sahlānā Thiik nahīñ
dasht ko us ki rah bhaTkana Thik nahin
wahshat ka yun aana jaana Thik nahin
wo jo teri yaad mein dhaDke aur jiye
aise dil se wapas aana Thik nahin
bar-e-nashat se us dil ko mar jaane do
ro ro kar yun ji bahlana Thik nahin
wo to aalam-e-shauq mein hai mahbuba ke
dil mar jae to dafnana Thik nahin
dard ko apni hiddat ka rang chaDhne do
is ghaw ka yun sahlana Thik nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.