dasht kya shai hai junun kya hai diwane ke liye
dasht kyā shai hai junūñ kyā hai divāne ke liye
shahr kyā kam hai mujhe ḳhaak uḌāne ke liye
ham ne kyā jāniye kyā soch ke gulshan chhoḌā
fasl-e-gul der hī kyā thī tire aane ke liye
maiñ sarā.e ke nigahbāñ kī tarah tanhā huuñ
haa.e vo log ki jo aa.e the jaane ke liye
ham vahī soḳhta-sāmān-e-azal haiñ ki jinheñ
zindagī duur tak aa.ī thī manāne ke liye
dil kī mehrāb ko darkār hai ik sham.a faqat
vo jalāne ke liye ho ki bujhāne ke liye
tū mirī yaad se ġhāfil na tirī yaad se maiñ
ek dar-parda kashākash hai bhulāne ke liye
zabt-e-paiham ke nisār ai dil-e-āzār-talab
shart-e-dāman bhī uThā ashk bahāne ke liye
sun mujhe ġhaur se sun naġhma-e-nā-paidā huuñ
koī āmāda nahīñ saaz uThāne ke liye
harf-e-nā-gufta kī rūdād liye phirte haiñ
pahle kahte the ġhazal un ko sunāne ke liye
dil kī daryūza-gar-e-harf-e-tasallī na rahā
ham ne ye rasm uThā dī hai zamāne ke liye
saañs roke hue phirtā huuñ bhare shahr meñ 'shāz'
us ne kyā raaz diyā mujh ko chhupāne ke liye
dasht kya shai hai junun kya hai diwane ke liye
shahr kya kam hai mujhe KHak uDane ke liye
hum ne kya jaaniye kya soch ke gulshan chhoDa
fasl-e-gul der hi kya thi tere aane ke liye
main sarae ke nigahban ki tarah tanha hun
hae wo log ki jo aae the jaane ke liye
hum wahi soKHta-saman-e-azal hain ki jinhen
zindagi dur tak aai thi manane ke liye
dil ki mehrab ko darkar hai ek shama faqat
wo jalane ke liye ho ki bujhane ke liye
tu meri yaad se ghafil na teri yaad se main
ek dar-parda kashakash hai bhulane ke liye
zabt-e-paiham ke nisar ai dil-e-azar-talab
shart-e-daman bhi uTha ashk bahane ke liye
sun mujhe ghaur se sun naghma-e-na-paida hun
koi aamada nahin saz uThane ke liye
harf-e-na-gufta ki rudad liye phirte hain
pahle kahte the ghazal un ko sunane ke liye
dil ki daryuza-gar-e-harf-e-tasalli na raha
hum ne ye rasm uTha di hai zamane ke liye
sans roke hue phirta hun bhare shahr mein 'shaz'
us ne kya raaz diya mujh ko chhupane ke liye
- Book : Kulliyat-e-Shaz Tamkanat (Pg. 158)
- Author : Shaz Tamkanat
- Publication : Educational Publishing House (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.