dasht le jae ki ghar le jae
dasht le jaa.e ki ghar le jaa.e
terī āvāz jidhar le jaa.e
ab yahī soch rahī haiñ āñkheñ
koī tā-hadd-e-nazar le jaa.e
manzileñ bujh ga.iiñ chehroñ kī tarah
ab jidhar rāhguzar le jaa.e
terī āshufta-mizājī ai dil
kyā ḳhabar kaun nagar le jaa.e
saya-e-abr se pūchho 'sarvat'
apne hamrāh agar le jaa.e
dasht le jae ki ghar le jae
teri aawaz jidhar le jae
ab yahi soch rahi hain aankhen
koi ta-hadd-e-nazar le jae
manzilen bujh gain chehron ki tarah
ab jidhar rahguzar le jae
teri aashufta-mizaji ai dil
kya KHabar kaun nagar le jae
saya-e-abr se puchho 'sarwat'
apne hamrah agar le jae
- Book : Mitti Ki Sundarta Dekho (Pg. 23)
- Author : Sarvat Husain
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.