dasht mein ashk bahaen to sabhi sar rakkhen
dasht meñ ashk bahā.eñ to sabhī sar rakkheñ
kyoñ na mil kar yahāñ buniyād-e-samundar rakkheñ
ham sabhī kaam mohabbat se liyā karte haiñ
dost shamshīr ko parde hī ke andar rakkheñ
ham haiñ 'ushshāq so muTThī meñ jahāñ rakhte haiñ
aur ghuñgrū kī chhanā-chhan meñ qalandar rakkheñ
ye to fitrat ke taqāzoñ ke munāfī hai 'nadīm'
dil kī jo baat hai vo dil hī ke andar rakkheñ
dasht mein ashk bahaen to sabhi sar rakkhen
kyon na mil kar yahan buniyaad-e-samundar rakkhen
hum sabhi kaam mohabbat se liya karte hain
dost shamshir ko parde hi ke andar rakkhen
hum hain 'ushshaq so muTThi mein jahan rakhte hain
aur ghungru ki chhana-chhan mein qalandar rakkhen
ye to fitrat ke taqazon ke munafi hai 'nadim'
dil ki jo baat hai wo dil hi ke andar rakkhen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.