dasht mein jis tarah shajar tanha
dasht meñ jis tarah shajar tanhā
kaT gayā us tarah safar tanhā
ghūmtā hai idhar udhar tanhā
ik musāfir nagar nagar tanhā
chhup ke baiThī hai baaz ke Dar se
fāḳhta ek shāḳh par tanhā
jī meñ aatā hai ham banā Dāleñ
shahr se duur ek ghar tanhā
is hujūm-e-balā meñ arse se
DhūñDhtī hai kise nazar tanhā
soz-e-dil shāmil-e-suḳhan kar leñ
lafz rakhte nahīñ asar tanhā
dasht mein jis tarah shajar tanha
kaT gaya us tarah safar tanha
ghumta hai idhar udhar tanha
ek musafir nagar nagar tanha
chhup ke baiThi hai baz ke Dar se
faKHta ek shaKH par tanha
ji mein aata hai hum bana Dalen
shahr se dur ek ghar tanha
is hujum-e-bala mein arse se
DhunDhti hai kise nazar tanha
soz-e-dil shamil-e-suKHan kar len
lafz rakhte nahin asar tanha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.