dasht mein KHak uDate hain dua karte hain
dasht mein KHak uDate hain dua karte hain
Hashim Raza Jalalpuri
MORE BYHashim Raza Jalalpuri
dasht meñ ḳhaak uḌāte haiñ duā karte haiñ
ham qalandar jahāñ jaate haiñ duā karte haiñ
yaar to yaar haiñ dushman bhī sadā duur raheñ
ishq se jaan chhuḌāte haiñ duā karte haiñ
ye salīqa ki mohabbat ne sikhāyā hai hameñ
zaḳhm hañste hue khāte haiñ duā karte haiñ
terā dil shaad rahe aur tū ābād rahe
ham tujhe chhoḌ ke jaate haiñ duā karte haiñ
ham kabhī dār-o-rasan par kabhī zindānoñ meñ
jaan kī baazī lagāte haiñ duā karte haiñ
ġhālib-o-mīr se nisbat kā sharaf hāsil ho
aao ab haath uThāte haiñ duā karte haiñ
dasht mein KHak uDate hain dua karte hain
hum qalandar jahan jate hain dua karte hain
yar to yar hain dushman bhi sada dur rahen
ishq se jaan chhuDate hain dua karte hain
ye saliqa ki mohabbat ne sikhaya hai hamein
zaKHm hanste hue khate hain dua karte hain
tera dil shad rahe aur tu aabaad rahe
hum tujhe chhoD ke jate hain dua karte hain
hum kabhi dar-o-rasan par kabhi zindanon mein
jaan ki bazi lagate hain dua karte hain
ghaalib-o-mir se nisbat ka sharaf hasil ho
aao ab hath uThate hain dua karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.