dasht mein phul ugane ka hunar jaanta hun
dasht meñ phuul ugāne kā hunar jāntā huuñ
yā'nī maiñ she'r sunāne kā hunar jāntā huuñ
ik tirī baat banā.e nahīñ bantī mujh se
varna har baat banāne kā hunar jāntā huuñ
tere kūche meñ jo ā.ūñgā Thahar jā.ūñgā
kab yahāñ aan ke jaane kā hunar jāntā huuñ
haañ ḳhabar-dār ki ai nāzish-e-ḳhūbān-e-chaman
maiñ hasīnoñ ko lubhāne kā hunar jāntā huuñ
aañkh se aañkh laḌā dene kā Dhab aatā hai
hoñT se hoñT milāne kā hunar jāntā huuñ
mere lafzoñ meñ vo garmī hai ki jis se 'kāzim'
aag paanī meñ lagāne kā hunar jāntā huuñ
dasht mein phul ugane ka hunar jaanta hun
ya'ni main she'r sunane ka hunar jaanta hun
ek teri baat banae nahin banti mujh se
warna har baat banane ka hunar jaanta hun
tere kuche mein jo aaunga Thahar jaunga
kab yahan aan ke jaane ka hunar jaanta hun
han KHabar-dar ki ai nazish-e-KHuban-e-chaman
main hasinon ko lubhane ka hunar jaanta hun
aankh se aankh laDa dene ka Dhab aata hai
honT se honT milane ka hunar jaanta hun
mere lafzon mein wo garmi hai ki jis se 'kazim'
aag pani mein lagane ka hunar jaanta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.