dasht mein pyasi bhaTak kar tishnagi mar jaegi
dasht meñ pyāsī bhaTak kar tishnagī mar jā.egī
ye huā to ziist kī ummīd bhī mar jā.egī
rok sakte ho to roko maz.habī takrār ko
ḳhuun yuuñ bahtā rahā to ye sadī mar jā.egī
phir usī kūche meñ jaane ke liye machlā hai dil
phir usī kūche meñ jā kar be-ḳhudī mar jā.egī
bolnā behad zarūrī hai magar ye soch lo
chīḳh jab hogī ayaañ to ḳhāmushī mar jā.egī
nafratoñ kī tīrgī phailī huī hai har taraf
pyaar ke dīpak jaleñ to tīrgī mar jā.egī
ranj-o-ġham se rābta merā na TuuTe ai ḳhudā
yuuñ huā to merī puurī shā.irī mar jā.egī
dostoñ se be-ruḳhī achchhī nahīñ hotī 'aman'
dūriyāñ zinda rahīñ to dostī mar jā.egī
dasht mein pyasi bhaTak kar tishnagi mar jaegi
ye hua to zist ki ummid bhi mar jaegi
rok sakte ho to roko mazhabi takrar ko
KHun yun bahta raha to ye sadi mar jaegi
phir usi kuche mein jaane ke liye machla hai dil
phir usi kuche mein ja kar be-KHudi mar jaegi
bolna behad zaruri hai magar ye soch lo
chiKH jab hogi ayan to KHamushi mar jaegi
nafraton ki tirgi phaili hui hai har taraf
pyar ke dipak jalen to tirgi mar jaegi
ranj-o-gham se rabta mera na TuTe ai KHuda
yun hua to meri puri shairi mar jaegi
doston se be-ruKHi achchhi nahin hoti 'aman'
duriyan zinda rahin to dosti mar jaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.