dasht mein qais-numa KHak uData hai koi
dasht meñ qais-numā ḳhaak uḌātā hai koī
ya.anī barsoñ se chalī riit nibhātā hai koī
mire andar kā suḳhan-fahm salāmat hai abhī
ḳhvāb meñ 'mīr' kā ik sher sunātā hai koī
phuul gul-dān meñ rakhte haiñ sabhī mezoñ par
naam kāġhaz pe tirā likh ke sajātā hai koī
jis tarah ahd-e-guzishta ko nibhātā hai koī
yuuñ tirī yaad kā tehvār manātā hai koī
girvī rakhtā hai badan aañkh javānī sab kuchh
ḳhvāb ko bech ke tā۔bīr kamātā hai koī
dasht mein qais-numa KHak uData hai koi
yani barson se chali rit nibhata hai koi
mere andar ka suKHan-fahm salamat hai abhi
KHwab mein 'mir' ka ek sher sunata hai koi
phul gul-dan mein rakhte hain sabhi mezon par
nam kaghaz pe tera likh ke sajata hai koi
jis tarah ahd-e-guzishta ko nibhata hai koi
yun teri yaad ka tehwar manata hai koi
girwi rakhta hai badan aankh jawani sab kuchh
KHwab ko bech ke ta۔bir kamata hai koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.