dasht meri hi duhai dega
dasht merī hī duhā.ī degā
phir mujhe ābla-pā.ī degā
raushnī ruuh talak aa pahuñchī
ab añdhere meñ dikhā.ī degā
zard pattoñ kā dhaḌaktā huā dil
ḳhāmushī meñ bhī sunā.ī degā
toḌ kar dekh tū ā.īna-e-dil
shahr kā shahr dikhā.ī degā
kashf o āgāhī ke ā.īne meñ
apnā bahrūp dikhā.ī degā
dasht meri hi duhai dega
phir mujhe aabla-pai dega
raushni ruh talak aa pahunchi
ab andhere mein dikhai dega
zard patton ka dhaDakta hua dil
KHamushi mein bhi sunai dega
toD kar dekh tu aaina-e-dil
shahr ka shahr dikhai dega
kashf o aagahi ke aaine mein
apna bahrup dikhai dega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.