dasht-o-sahra mein kabhi KHak uDa bhi na sakun
dasht-o-sahrā meñ kabhī ḳhaak uḌā bhī na sakūñ
itnā gumrāh na kariyo tujhe pā bhī na sakūñ
mashrab-e-mūsā pe hasrat kā asā thāme hue
ḳhizr ko DhūñDh rahā huuñ kahīñ jā bhī na sakūñ
ab tū mujh se na judā hone kī qasmeñ khā le
maiñ to yāqūb nahīñ ashk bahā bhī na sakūñ
kyā sitam hai mirī tasvīr banāne vaale
maiñ tujhe apne tasavvur meñ basā bhī na sakūñ
yuuñ jalā koī sharar tak na rahe mujh meñ vuqūa
tūr-e-ummīd kā ik tinkā jalā bhī na sakūñ
hosh uḌā jā ki sivā tere na sochūñ kuchh bhī
niiñd uḌā jā ki koī ḳhvāb sajā bhī na sakūñ
aql meñ bhī to samā dil meñ samāne vaale
yaad kuchh rakh na sakūñ aur bhulā bhī na sakūñ
apne dāman kā har ik taar udheḌe hue maiñ
apnī 'shādāb' tabī.at ko chhupā bhī na sakūñ
dasht-o-sahra mein kabhi KHak uDa bhi na sakun
itna gumrah na kariyo tujhe pa bhi na sakun
mashrab-e-musa pe hasrat ka asa thame hue
KHizr ko DhunDh raha hun kahin ja bhi na sakun
ab tu mujh se na juda hone ki qasmen kha le
main to yaqub nahin ashk baha bhi na sakun
kya sitam hai meri taswir banane wale
main tujhe apne tasawwur mein basa bhi na sakun
yun jala koi sharar tak na rahe mujh mein wuqua
tur-e-ummid ka ek tinka jala bhi na sakun
hosh uDa ja ki siwa tere na sochun kuchh bhi
nind uDa ja ki koi KHwab saja bhi na sakun
aql mein bhi to sama dil mein samane wale
yaad kuchh rakh na sakun aur bhula bhi na sakun
apne daman ka har ek tar udheDe hue main
apni 'shadab' tabiat ko chhupa bhi na sakun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.