dast-e-asa-e-moajiza-gar bhi usi ka hai
dast-e-asā-e-mo.ajiza-gar bhī usī kā hai
gahre samundaroñ meñ safar bhī usī kā hai
terā yaqīn sach hai mirī chashm-e-etibār
sab kuchh fasīl-e-shab ke udhar bhī usī kā hai
bas apnā apnā farz adā kar rahe haiñ log
varna sināñ bhī us kī hai sar bhī usī kā hai
teġh-e-sitam ko jis ne atā kī haiñ mohlateñ
fariyād-e-kushtagāñ meñ asar bhī usī kā hai
manzar meñ jitne rang haiñ nairang usī ke haiñ
hairāniyoñ meñ zauq-e-nazar bhī usī kā hai
mujrim huuñ aur ḳharāba-e-jāñ meñ amaañ nahīñ
ab maiñ kahāñ chhupūñ ki ye ghar bhī usī kā hai
ḳhud ko charāġh-e-rāhguzar jāntā huuñ maiñ
lekin charāġh-e-rāhguzar bhī usī kā hai
dast-e-asa-e-moajiza-gar bhi usi ka hai
gahre samundaron mein safar bhi usi ka hai
tera yaqin sach hai meri chashm-e-etibar
sab kuchh fasil-e-shab ke udhar bhi usi ka hai
bas apna apna farz ada kar rahe hain log
warna sinan bhi us ki hai sar bhi usi ka hai
tegh-e-sitam ko jis ne ata ki hain mohlaten
fariyaad-e-kushtagan mein asar bhi usi ka hai
manzar mein jitne rang hain nairang usi ke hain
hairaniyon mein zauq-e-nazar bhi usi ka hai
mujrim hun aur KHaraba-e-jaan mein aman nahin
ab main kahan chhupun ki ye ghar bhi usi ka hai
KHud ko charagh-e-rahguzar jaanta hun main
lekin charagh-e-rahguzar bhi usi ka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.