dast-e-qatil mein koi tegh na KHanjar hota
dast-e-qatil mein koi tegh na KHanjar hota
Badr-e-Alam Khan Azmi
MORE BYBadr-e-Alam Khan Azmi
dast-e-qātil meñ koī teġh na ḳhanjar hotā
mirā saaya jo mire qad ke barābar hotā
merā dushman bhī mire qad ke barābar hotā
kaash kāñdhe pe mere ek 'adad sar hotā
ye haqīqat hai sarāboñ meñ machaltīñ lahreñ
dasht agar dasht na hotā to samundar hotā
us ke ḳhanjar se lipaT jaate sunahre alfāz
hākim-e-shahr agar ek suḳhanvar hotā
maiñ yuuñ be-kār na hotā kisī patthar kī tarah
vaqt ke paas agar tesha-e-āzar hotā
vo to kahiye ki hai parvāz-e-taḳhayyul se pare
varna yazdāñ bhī kisī tiir kī zad par hotā
dast-e-qatil mein koi tegh na KHanjar hota
mera saya jo mere qad ke barabar hota
mera dushman bhi mere qad ke barabar hota
kash kandhe pe mere ek 'adad sar hota
ye haqiqat hai sarabon mein machaltin lahren
dasht agar dasht na hota to samundar hota
us ke KHanjar se lipaT jate sunahre alfaz
hakim-e-shahr agar ek suKHanwar hota
main yun be-kar na hota kisi patthar ki tarah
waqt ke pas agar tesha-e-azar hota
wo to kahiye ki hai parwaz-e-taKHayyul se pare
warna yazdan bhi kisi tir ki zad par hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.