Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dast-e-sumum dast-e-saba kyun nahin hua

Ahmad Mushtaq

dast-e-sumum dast-e-saba kyun nahin hua

Ahmad Mushtaq

MORE BYAhmad Mushtaq

    dast-e-sumūm dast-e-sabā kyuuñ nahīñ huā

    dar mausam-e-bahār kyuuñ nahīñ huā

    zālim the varā-e-hisāb-o-kitāb kyā

    un par nuzūl-e-qahr-e-ḳhudā kyuuñ nahīñ huā

    un ke saroñ pe kyuuñ nahīñ TūTīñ qayāmateñ

    an ke gharoñ meñ hashr bapā kyuuñ nahīñ huā

    gūñjī na kyuuñ falak se koī āyat-e-ġhazab

    ye gumbad-e-sukūt sadā kyuuñ nahīñ huā

    dil meñ haiñ kis umiid ke panje gaḌe hue

    ye maas nāḳhunoñ se judā kyuuñ nahīñ huā

    dast-e-sumum dast-e-saba kyun nahin hua

    dar mausam-e-bahaar ka wa kyun nahin hua

    zalim the wara-e-hisab-o-kitab kya

    un par nuzul-e-qahr-e-KHuda kyun nahin hua

    un ke saron pe kyun nahin TuTin qayamaten

    an ke gharon mein hashr bapa kyun nahin hua

    gunji na kyun falak se koi aayat-e-ghazab

    ye gumbad-e-sukut sada kyun nahin hua

    dil mein hain kis umid ke panje gaDe hue

    ye mas naKHunon se juda kyun nahin hua

    Source :
    • Book : Auraaq-e-Khezani (Pg. 65)
    • Author : Ahmad Mushtaq
    • Publication : Rekhta Foundation (2015)
    • Edition : 2015
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now