dast-o-gareban waiz se ho jate hain diwane log
dast-o-garebāñ vaa.iz se ho jaate haiñ dīvāne log
mujh ko bhī to shām-e-junūñ kuchh aa.e the samjhāne log
bazm-e-tarab meñ raqs-kunāñ the jaane aur pahchāne log
mushkil meñ jo kaam aa.e the sab ke sab begāne log
mujh par ishq meñ kyā kyā biitī jaan sake to muddat tak
ḳhūn-e-jigar se likhte raheñge mere hī afsāne log
dil kā jaam ehsās kī mai jazbāt kā nashsha kam to nahīñ
uftāñ ḳhezāñ hairat hai kyoñ jaate haiñ maiḳhāne log
paaoñ kī zanjīr bajī lo mausam-e-gul bhī aa hī gayā
der na ho ai zauq-e-junūñ ābād kareñ vīrāne log
maḳhmūr nigāhī kā apne ai sāqi-e-mehvash dekh asar
terī nazar ke sāmne kitne toḌ ga.e paimāne log
aisī kitnī ġhazleñ likh kar 'barq' ne zaa.e.a kar Dālīñ
ik do ġhazal par ab to shā.ir lagte haiñ kahlāne log
dast-o-gareban waiz se ho jate hain diwane log
mujh ko bhi to sham-e-junun kuchh aae the samjhane log
bazm-e-tarab mein raqs-kunan the jaane aur pahchane log
mushkil mein jo kaam aae the sab ke sab begane log
mujh par ishq mein kya kya biti jaan sake to muddat tak
KHun-e-jigar se likhte rahenge mere hi afsane log
dil ka jam ehsas ki mai jazbaat ka nashsha kam to nahin
uftan KHezan hairat hai kyon jate hain maiKHane log
paon ki zanjir baji lo mausam-e-gul bhi aa hi gaya
der na ho ai zauq-e-junun aabaad karen virane log
maKHmur nigahi ka apne ai saqi-e-mehwash dekh asar
teri nazar ke samne kitne toD gae paimane log
aisi kitni ghazlen likh kar 'barq' ne zaea kar Dalin
ek do ghazal par ab to shair lagte hain kahlane log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.