dastak hui to sar pe dupaTTa sambhal gaya
dastak hui to sar pe dupaTTa sambhal gaya
Shahnaz Parveen Sahar
MORE BYShahnaz Parveen Sahar
dastak huī to sar pe dupaTTā sambhal gayā
chhoTā sā ik charāġh mire dil meñ jal gayā
jaate hue rukā hī nahīñ ek pal bhī vo
saare sitāre paañv ke nīche kuchal gayā
tāñbe kī TukḌiyāñ sī bikhartī chalī ga.iiñ
phir dekhte hī dekhte sūraj pighal gayā
bārish kī buuñd buuñd ko tarsā huā thā shahr
āñchal havā kā thaam ke bādal nikal gayā
roTī tave pe sahmī huī dekhtī rahī
chūlhā bhaḌak uThā thā mirā haath jal gayā
hairat hanūz TuuTe hue aa.ine meñ thī
mujh par tirī kamān se kyoñ tiir chal gayā
biite hue dinoñ kā dhuāñ phailtā rahā
yuuñ hī kanār-e-chashm jo aañsū phisal gayā
dastak hui to sar pe dupaTTa sambhal gaya
chhoTa sa ek charagh mere dil mein jal gaya
jate hue ruka hi nahin ek pal bhi wo
sare sitare panw ke niche kuchal gaya
tanbe ki TukDiyan si bikharti chali gain
phir dekhte hi dekhte suraj pighal gaya
barish ki bund bund ko tarsa hua tha shahr
aanchal hawa ka tham ke baadal nikal gaya
roTi tawe pe sahmi hui dekhti rahi
chulha bhaDak uTha tha mera hath jal gaya
hairat hanuz TuTe hue aaine mein thi
mujh par teri kaman se kyon tir chal gaya
bite hue dinon ka dhuan phailta raha
yun hi kanar-e-chashm jo aansu phisal gaya
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.