dastaken sunte hain sab dar kholta koi nahin
dastakeñ sunte haiñ sab dar kholtā koī nahīñ
ḳhauf ghar maiñ is qadar hai boltā koī nahīñ
ik hujūm-e-tā.irāñ hai be-sakat be-hausla
bāl-o-par hote hue par toltā koī nahīñ
ai nigār-e-sub.h terī kār-farmā.ī kī ḳhair
ab rag-o-pai meñ añdhere gholtā koī nahīñ
ai kanār-e-bahr ye be-e'tinā.ī kis liye
sīpiyāñ maujūd haiñ aur roltā koī nahīñ
istaqāmat hai qayāmat kī sar-e-dariyā-e-ġham
har safīna mauj par hai Doltā koī nahīñ
dastaken sunte hain sab dar kholta koi nahin
KHauf ghar main is qadar hai bolta koi nahin
ek hujum-e-tairan hai be-sakat be-hausla
baal-o-par hote hue par tolta koi nahin
ai nigar-e-subh teri kar-farmai ki KHair
ab rag-o-pai mein andhere gholta koi nahin
ai kanar-e-bahr ye be-e'tinai kis liye
sipiyan maujud hain aur rolta koi nahin
istaqamat hai qayamat ki sar-e-dariya-e-gham
har safina mauj par hai Dolta koi nahin
- Book : Sukhan sukhan mehtaab (Pg. 64)
- Author : Mohsin Ehsaan
- Publication : Aziz ahmed Khan (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.