dastaras mein agar na aaun to phir
dastaras meñ agar na aa.uuñ to phir
ḳhaak ban kar maiñ uḌ hī jā.ūñ to phir
tum ko fursat nahīñ hai mere liye
maiñ bhī rastoñ meñ kho hī jā.ūñ to phir
mere ġham par jo hañs rahe ho tum
maiñ bhī yūñhī tumheñ satā.ūñ to phir
ishq ke charche meñ hai rusvā.ī
ye kahānī zabāñ pe lā.ūñ to phir
ābla-pā hai 'rūbī' terī tarah
thak ga.e gar ye mere paañv to phir
dastaras mein agar na aaun to phir
KHak ban kar main uD hi jaun to phir
tum ko fursat nahin hai mere liye
main bhi raston mein kho hi jaun to phir
mere gham par jo hans rahe ho tum
main bhi yunhi tumhein sataun to phir
ishq ke charche mein hai ruswai
ye kahani zaban pe laun to phir
aabla-pa hai 'rubi' teri tarah
thak gae gar ye mere panw to phir
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.