daulat-e-dard-e-jaan ata kar ke
daulat-e-dard-e-jāñ 'atā kar ke
us ne chhoḌā hai kīmiyā kar ke
ham ne kitnoñ kī dāstān kahī
ik tirā hijr mudda'ā kar ke
she'r kī naġhmagī meñ Dhālā hai
dil se patthar ko mom sā kar ke
tere dar par haiñ dard ke maare
lauT jā.eñge iltijā kar ke
ham the shā'ir kisī se kyā laḌte
uTh ga.e bazm se du'ā kar ke
daulat-e-dard-e-jaan 'ata kar ke
us ne chhoDa hai kimiya kar ke
hum ne kitnon ki dastan kahi
ek tera hijr mudda'a kar ke
she'r ki naghmagi mein Dhaala hai
dil se patthar ko mom sa kar ke
tere dar par hain dard ke mare
lauT jaenge iltija kar ke
hum the sha'ir kisi se kya laDte
uTh gae bazm se du'a kar ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.