daulat-e-did pa kar ghani ho gai
daulat-e-dīd pā kar ġhanī ho ga.ī
lag ga.ī aañkh shab dīdanī ho ga.ī
raat añdherī thī taare to rote rahe
chāñd hañsne lagā chāñdnī ho ga.ī
so.e the kis ke naqsh-e-qadam raah meñ
merī taḳh.īl se raushnī ho ga.ī
kis ke naġhmoñ kī lai kis kī āñkhoñ kī mai
jāñ-fazā yuuñ dam-e-jāñ-kanī ho ga.ī
umr apnī to sunte hī sunte kaTī
zindagī kī sadā rāgnī ho ga.ī
daulat-e-did pa kar ghani ho gai
lag gai aankh shab didani ho gai
raat andheri thi tare to rote rahe
chand hansne laga chandni ho gai
soe the kis ke naqsh-e-qadam rah mein
meri taKHil se raushni ho gai
kis ke naghmon ki lai kis ki aankhon ki mai
jaan-faza yun dam-e-jaan-kani ho gai
umr apni to sunte hi sunte kaTi
zindagi ki sada ragni ho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.