daulat-e-duniya kahan darkar hai
daulat-e-duniyā kahāñ darkār hai
mujh ko terā āstāñ darkār hai
aap ko bhī ik sahārā chāhiye
mujh ko bhī ik ham-zabāñ darkār hai
zindagī kī is kaḌaktī dhuup meñ
sāya-e-sard-e-ravāñ darkār hai
barq-o-bārāñ kā uḌaa.e jo mazāq
aaj vo azm-e-javāñ darkār hai
zindagī se hai ibārat ik jihād
sher kī tāb-o-tavāñ darkār hai
tīr-o-nashtar sher yuuñ bantā nahīñ
ik dil-e-ātishīñ-fashāñ darkār hai
chāhiye iqbāl kī fikr-e-rasā
daaġh kī tab-e-ravāñ darkār hai
ho tahārat 'hālī'-o-'mahrūm' kī
'mīr'-o-'momin' kī zabāñ darkār hai
sher se mahzūz hone ke liye
lazzat-e-dard-e-nihāñ darkār hai
ahl-e-mahfil ko tarannum chāhiye
shā.irī un ko kahāñ darkār hai
murshid-e-kāmil kī mujh ko hai talāsh
majlis-e-rūhāniyāñ darkār hai
ruuh ko jis se mile bālīdgī
mujh ko vo pīr-e-muġhāñ darkār hai
man kā saarā mail jis se duur ho
vo sharāb-e-arġhavāñ darkār hai
ham pe jo guzrī vo kahne ke liye
husn-o-uslūb-e-bayāñ darkār hai
zindagī kā raaz paane ke liye
ham ko umr-e-jāvedāñ darkār hai
mujh ko apne dostoñ se ai 'bahār'
ik ḳhulūs-e-be-karāñ darkār hai
daulat-e-duniya kahan darkar hai
mujh ko tera aastan darkar hai
aap ko bhi ek sahaara chahiye
mujh ko bhi ek ham-zaban darkar hai
zindagi ki is kaDakti dhup mein
saya-e-sard-e-rawan darkar hai
barq-o-baran ka uDae jo mazaq
aaj wo azm-e-jawan darkar hai
zindagi se hai ibarat ek jihad
sher ki tab-o-tawan darkar hai
tir-o-nashtar sher yun banta nahin
ek dil-e-atishin-fashan darkar hai
chahiye iqbaal ki fikr-e-rasa
dagh ki tab-e-rawan darkar hai
ho tahaarat 'haali'-o-'mahrum' ki
'mir'-o-'momin' ki zaban darkar hai
sher se mahzuz hone ke liye
lazzat-e-dard-e-nihan darkar hai
ahl-e-mahfil ko tarannum chahiye
shairi un ko kahan darkar hai
murshid-e-kaamil ki mujh ko hai talash
majlis-e-ruhaniyan darkar hai
ruh ko jis se mile baalidgi
mujh ko wo pir-e-mughan darkar hai
man ka sara mail jis se dur ho
wo sharab-e-arghawan darkar hai
hum pe jo guzri wo kahne ke liye
husn-o-uslub-e-bayan darkar hai
zindagi ka raaz pane ke liye
hum ko umr-e-jawedan darkar hai
mujh ko apne doston se ai 'bahaar'
ek KHulus-e-be-karan darkar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.