daur-e-hazir ka ye kirdar KHuda KHair kare
daur-e-hāzir kā ye kirdār ḳhudā ḳhair kare
maañ se beTe ko nahīñ pyaar ḳhudā ḳhair kare
pyaar auroñ meñ to ham baañT rahe the kal tak
aaj aapas meñ hai takrār ḳhudā ḳhair kare
bas-ki ābād hamāre hī lahū se hai chaman
ham chaman ke nahīñ haqdār ḳhudā ḳhair kare
ek nā-ahl hai is vaqt chaman kā maalī
phuul bhī to nahīñ bedār ḳhudā ḳhair kare
chhūT kar haath se do-chār gireñ to kyā ho
ek thālī kī ye jhankār ḳhudā ḳhair kare
nā-mukammal hai nasheman mirā lekin bijlī
ban ga.ī tālib-e-dīdār ḳhudā ḳhair kare
jaane kab kaise 'qamar' pyaas bujhegī is kī
pī rahī hai lahū talvār ḳhudā ḳhair kare
daur-e-hazir ka ye kirdar KHuda KHair kare
man se beTe ko nahin pyar KHuda KHair kare
pyar auron mein to hum banT rahe the kal tak
aaj aapas mein hai takrar KHuda KHair kare
bas-ki aabaad hamare hi lahu se hai chaman
hum chaman ke nahin haqdar KHuda KHair kare
ek na-ahl hai is waqt chaman ka mali
phul bhi to nahin bedar KHuda KHair kare
chhuT kar hath se do-chaar giren to kya ho
ek thaali ki ye jhankar KHuda KHair kare
na-mukammal hai nasheman mera lekin bijli
ban gai talib-e-didar KHuda KHair kare
jaane kab kaise 'qamar' pyas bujhegi is ki
pi rahi hai lahu talwar KHuda KHair kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.