Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

daura hai jab se bazm mein teri sharab ka

Shaikh Zahuruddin Hatim

daura hai jab se bazm mein teri sharab ka

Shaikh Zahuruddin Hatim

MORE BYShaikh Zahuruddin Hatim

    daurā hai jab se bazm meñ terī sharāb

    bāzār garm hai mire dil ke kabāb

    ḳhūbāñ ko kis tarah se lagā le hai baat meñ

    bandā huuñ apnī tab-e-zarāfat-ma.āb

    jo nāma-bar gayā na phirā ek ab talak

    ai dil intizār abas hai javāb

    hasrat ye hai ki raat ko aa.e vo māh-rū

    daulat se us diid karūñ māhtāb

    altāf meñ bhī us ke aziyyat hai sau tarah

    lā.ūñ kahāñ se hausla us ke itaab

    ruḳhsār ke araq tire bhaav dekh kar

    paanī ke mol nirḳh huā hai gulāb

    'hātim' yahī hamesha zamāne chaal hai

    shikva bajā nahīñ hai tujhe inqalāb

    daura hai jab se bazm mein teri sharab ka

    bazar garm hai mere dil ke kabab ka

    KHuban ko kis tarah se laga le hai baat mein

    banda hun apni tab-e-zarafat-maab ka

    jo nama-bar gaya na phira ek ab talak

    ai dil tu intizar abas hai jawab ka

    hasrat ye hai ki raat ko aae wo mah-ru

    daulat se us ki did karun mahtab ka

    altaf mein bhi us ke aziyyat hai sau tarah

    laun kahan se hausla us ke itab ka

    ruKHsar ke araq ka tere bhaw dekh kar

    pani ke mol nirKH hua hai gulab ka

    'hatim' yahi hamesha zamane ki chaal hai

    shikwa baja nahin hai tujhe inqalab ka

    Source :
    • Book : Diwan-e-Zaada (Pg. 118)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now