Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dawa karte karte dua karte karte

Nami Nadri

dawa karte karte dua karte karte

Nami Nadri

MORE BYNami Nadri

    davā karte karte du'ā karte karte

    jiyā huuñ umīd-e-shifā karte karte

    qazā aa.e hamd-o-sanā karte karte

    ḳhudā se duā-e-atā karte karte

    taras aa gayā hogā munsif ko ham par

    barī kar gayā jo sazā karte karte

    hamārī taraf kis liye ab haiñ maa.il

    badal kyoñ ga.e vo jafā karte karte

    hamārī taraf kis liye ab haiñ maa.il

    badal kyoñ ga.e vo jafā karte karte

    harīfoñ mashrab hai shikve shikāyat

    yahīñ mar miTeñge gila karte karte

    kahīñ Duub jaa.e na apnā safīna

    yahīñ nāḳhudā nāḳhudā karte karte

    ra.īsoñ sehat meñ kyā farq aayā

    hamīñ mar miTe iktifā karte karte

    vo aadam mā'sūmiyat allāh allāh

    vahī kar ke baiThā manā karte karte

    kasar sab nikal jā.egī 'nāmī' ik din

    jiye haiñ jo makr-o-riyā karte karte

    dawa karte karte du'a karte karte

    jiya hun umid-e-shifa karte karte

    qaza aae hamd-o-sana karte karte

    KHuda se dua-e-ata karte karte

    taras aa gaya hoga munsif ko hum par

    bari kar gaya jo saza karte karte

    hamari taraf kis liye ab hain mail

    badal kyon gae wo jafa karte karte

    hamari taraf kis liye ab hain mail

    badal kyon gae wo jafa karte karte

    harifon ka mashrab hai shikwe shikayat

    yahin mar miTenge gila karte karte

    kahin Dub jae na apna safina

    yahin naKHuda naKHuda karte karte

    raison ki sehat mein kya farq aaya

    hamin mar miTe iktifa karte karte

    wo aadam ki ma'sumiyat allah allah

    wahi kar ke baiTha mana karte karte

    kasar sab nikal jaegi 'nami' ek din

    jiye hain jo makr-o-riya karte karte

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now