daya se dua se ada se wafa se
dayā se duā se adā se vafā se
mujhe Thiik kar do kisī bhī davā se
charāġhoñ ko ghar ke khule meñ na chhoḌo
kahīñ bujh na jaa.eñ vabā kī havā se
suno jā rahā huuñ maiñ dar pe ḳhudā ke
shikāyat karūñgā tumhārī ḳhudā se
hañsī jhūTī kaise rakheñ ham laboñ par
ki pūchheñge ham bhī kisī ġham-zada se
havā.eñ haiñ kahtī diyoñ se ki tum sab
jaloge bujhoge hamārī razā se
sazā se nahīñ koī inkār lekin
sazā ye baḌī hai hamārī ḳhatā se
daya se dua se ada se wafa se
mujhe Thik kar do kisi bhi dawa se
charaghon ko ghar ke khule mein na chhoDo
kahin bujh na jaen waba ki hawa se
suno ja raha hun main dar pe KHuda ke
shikayat karunga tumhaari KHuda se
hansi jhuTi kaise rakhen hum labon par
ki puchhenge hum bhi kisi gham-zada se
hawaen hain kahti diyon se ki tum sab
jaloge bujhoge hamari raza se
saza se nahin koi inkar lekin
saza ye baDi hai hamari KHata se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.