dayar-e-dil mein koi itna KHush-nasib to ho
dayār-e-dil meñ koī itnā ḳhush-nasīb to ho
harīf-e-dār to ho zīnat-e-salīb to ho
kareñge pyaar gale se bhī ham lagā leñge
hamāre ishq ke me.aar kā raqīb to ho
hai kaun shai jo nahīñ zindagī ke dāman meñ
magar hayāt ke dāman se tū qarīb to ho
sahar bhī aa.egī aur inqalāb bhī hogā
is inqalāb kā lekin koī naqīb to ho
kahāñ har ek ko e.azāz-e-ishq miltā hai
'payām' ham sā koī pahle ḳhush-nasīb to ho
dayar-e-dil mein koi itna KHush-nasib to ho
harif-e-dar to ho zinat-e-salib to ho
karenge pyar gale se bhi hum laga lenge
hamare ishq ke mear ka raqib to ho
hai kaun shai jo nahin zindagi ke daman mein
magar hayat ke daman se tu qarib to ho
sahar bhi aaegi aur inqalab bhi hoga
is inqalab ka lekin koi naqib to ho
kahan har ek ko eazaz-e-ishq milta hai
'payam' hum sa koi pahle KHush-nasib to ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.