Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dayar-e-dil na raha bazm-e-dostan na rahi

Shahryar

dayar-e-dil na raha bazm-e-dostan na rahi

Shahryar

MORE BYShahryar

    dayār-e-dil na rahā bazm-e-dostāñ na rahī

    amaañ koī jagah zer-e-āsmāñ na rahī

    ravāñ haiñ aaj bhī rag rag meñ ḳhuun maujeñ

    magar vo ek ḳhalish vo matā-e-jāñ na rahī

    laḌeñ ġhamoñ ke añdheroñ se kis ḳhātir ham

    koī kiran bhī to is dil meñ zau-fishāñ na rahī

    maiñ us ko dekh ke āñkhoñ nuur kho baiThā

    ye zindagī mirī āñkhoñ se kyuuñ nihāñ na rahī

    zabāñ milī bhī to kis vaqt be-zabānoñ ko

    sunāne ke liye jab koī dāstāñ na rahī

    dayar-e-dil na raha bazm-e-dostan na rahi

    aman ki koi jagah zer-e-asman na rahi

    rawan hain aaj bhi rag rag mein KHun ki maujen

    magar wo ek KHalish wo mata-e-jaan na rahi

    laDen ghamon ke andheron se kis ki KHatir hum

    koi kiran bhi to is dil mein zau-fishan na rahi

    main us ko dekh ke aankhon ka nur kho baiTha

    ye zindagi meri aankhon se kyun nihan na rahi

    zaban mili bhi to kis waqt be-zabanon ko

    sunane ke liye jab koi dastan na rahi

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    dayar-e-dil na raha bazm-e-dostan na rahi Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now